"Chotu Beta andar se ek magga pani to lake bahar patiya par daal .. naak me dam kar rakha hai iss khajelu ne" – jor se aawaj lagate hu babuji ghar ke andar aate hai !
Ek kala khajela kutta patiya par betha apne pichwade par mandra rhi makkhiyo ko daanto se kuchal rha hai ! Wo mohalle ka eklota kutta hai jise log pyar se khajelu pukarte hai !
Sir par pani padte hi khajelu apni dum dabakar bhag gya ! Buda ho chukka khajelu pagal hone laga hai. ab log uski jaan ke dushman bante jaa rhe hai ! Har ghar se use jhadu, dande, pani se maar fatkar kar bhagaya ja rha hai !
Sharaddh paksh lage aaj tisara din hai babuji haath me kheer pudi liye chourahepar khade hai lekin ek kutta nhi dikha jise keer puri kila kar purwajo ko trapt kiya jaye jo ek bhartiya parampara rhi hai !
Ab to mohalle ki aurte bhi khajelu ko yaad kar rhi hai jo pichle saptah hi swarg sidhar gya tha !
0 comments:
Post a Comment